Aaj muhammad aye moray ghar
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
Ankhon mein maazagh ka surma
Sar par taaj warafana ka
Husn-e-mujassam Allahu akbar
Aaj muhammad aye moray ghar...
Subh-e-azzal hai mukhra un ka
Shaam-e-awad hai zulf ka saya
Unse hua har qalb munawwar
Gaye ek waqt me sattar mureedo ke yaha hazrat
Samajh me aa nahi sakta muamma ghous e aazam ka
Aaj muhammad aye moray ghar...
Mehndi lagaon ghar ko sajaon
Main angan mein naachon gaaon
Tann mann waaron unke charan par
Aaj muhammad aye moray ghar...
Aao sakhio mill kar gayein
Apne Piya ka jashn manayein
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
Aaj muhammad aye moray ghar...
Rim jhim barse noor ki barkha
Aaya hai mi’raj ka dulha
Dharti aur aakaash se behtar
Aaj muhammad aye moray ghar...
Dosh pe youn gesu lehraye
Bheeni bheeni khusboo aye
Rang-o-nighat saara manzar
Aaj muhammad aye moray ghar...
Amina Bi ka raaj dulara
Kitna anokha kitna pyaara
Chaand uttar aaya hai zameen par
Aaj muhammad aye moray ghar...
Ban ke shab-e-miraaj mein dulha
Pahunch e jab aflak pe aaqa
Naghma tha har eik ki zuban par
Aaj muhammad aye moray ghar...
Tal jaayegi sari musibat
Aa jaye ga dor-e-rahat
Ab to mujhe dekheinge nazar bhar
Aaj muhammad aye moray ghar...
Anjum bekas aap ka mangta
Dijiye bakshish jag ke data
Boond hoon main aur aap samandar
Aaj muhammad aye moray ghar
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar