Aamina ke dil baron dil daar par lakho salam lyrics
Aamina ke dil baron dil daar par lakho salam
Ambiya ke sarwar o sardaar par lakho salam
Moula ya salli wa sallim daaeman abadan
A'la habibi ka khayril khalqi kulli himi
Dono aalam ke khazane kar diye haq ne ataa
Do jaha ke malik o mukhtar par lakho salam
Moula ya salli wa sallim daaeman abadan....
Qabr me lehrayenge jis waqt jalwe noor ke
Hum padhenge ruhe pur anwaar par lakho salam
Moula ya salli wa sallim daaeman abadan....
Masjid e nabwi ke mahrab aur mimbar par darood
Sabz gumbad aur har minaar par lakho salam
Moula ya salli wa sallim daaeman abadan....
Rahmate lakho abu bakr o umar usman par
Mere maula hydar e kar'rar par lakho salam
Moula ya salli wa sallim daaeman abadan....
Mere pyare peer o murshid sayyadi ghousul wara
Awliya ullah ke sardaar par lakho salam
Moula ya salli wa sallim daaeman abadan....
Jo gaya ajmer me dil ki murade pa gaya
Mere khawaja ke sakhi darbaar par lakho salam
Moula ya salli wa sallim daaeman abadan....
Sayyadi ahmed raza ne khoob likha hai kalam
Unke saare naatiya ash'har par lakho salam
Moula ya salli wa sallim daaeman abadan....