Aanay walo ye to bataa o shehr e madina kesa he naat lyrics
Aanay walo ye to bataa o shehr e madina kesa he
Sar un kay qadmon main rakh kar jukh kar jina kesa he
Gunbaday khazra kay saye beythh kay tum to aaye ho
Uss saye main rab kay aagay sajda karna kesa he
Aanay walo ye to bataa o shehr e madina kesa he...
Dil aankhayn or rooh tumhari lagti he sehraab mujhay
Dar pay un kay beythh kay zam zam piina kesa he
Aanay walo ye to bataa o shehr e madina kesa he...
Diiwano aankhon say tumhari itna puuchh to Layne do
Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he
Aanay walo ye to bataa o shehr e madina kesa he...
Waqt e rukhsat dil ko apnay chhod wahaan tum aaye ho
Yay batlaa-o ishrat un kay dar se bichhadna kesa he
Aanay walo ye to bataa o shehr e madina kesa he...