Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka naat lyrics
Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
Gar aata ho dam e akhir mujhe jalwa unka
Maine mana ke siyahkaar gunahgaar hu mai
Laaj rakhle meri maula ke hu shaida unka
Roz e mehshar ki tamazat se bachaega mujhe
Meri bakhshish ka zariya hai ye jalsa unka
Dekh lo ahle jahan mere nabi ki ulfat
Chuma hai bulbul e sidra ne bhi talwa unka
Kyun bhala fikr karu roz e qiyamat ka tameem
Khuld le jayega mujhko bhi waseela unka