Bagadad sharif

Almadad Pira Ne Pir Gause Aazam Dastagir Manqabat - lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Almadad pira ne pir goshe aazam dastagir

Rutba ye wilayat me kya gosh ne paya hai
Allah ne waliyo ka sultan banaya hai
Hai daste ali sar par hasnain ka saya hai
Mere gosh ne thokar me murdo ko jilaya hai
Almadad pira ne pir goshe aazam dastagir

Lakho ne usi dar se takdir banai hai
Bagadad sawariya ki har bat nirali hai
Dubi hui kashti bhi dariya se nikali hai
Ye nam adab se lo ye nam jalali hai
Almadad pira ne pir goshe aazam dastagir

Har fikar se tum ho kar aazad chale jao
Ho kar ke labo par tum fariyad chale jao
Mil na he agar tumko waliyo ke shahensha se
Khawaja se ijazat lo bagdad chale jao
Almadad pira ne pir goshe aazam dastagir

Qismat ke andhero me diwana bhatak ta hai
Is Ishqe haqaiqi me itna to asar aaye
Jab bandh karu aankhe bagdad nazar aaye
Almadad pira ne pir goshe aazam dastagir

Andaz baya un ka ham kar nahi payenge
Ajmer se ho kar ham bagdad ko jayenge
Jab aaye bala ham par ham un ko bulayenge
Tum dil se sada to do wo hath badhayenge
Almadad pira ne pir goshe aazam dastagir

Ya gosh karam kar do ya gosh karam kar do
Ye din ki dolat se daman ko mera bhardo
Bas Itni guzarish he bas ek nazar kar do
Bagdad ki galiyo me chhota sa muje ghar do
Almadad pira ne pir goshe aazam dastagir