Amina ka laal aaya, amina ka laal aaya
Agaya woh noor wala, jis ki unchi shaan hai
Jis ki midhat main utaara rab ne ye quran hai
Amina ka laal aaya, amina ka laal aaya
Ho bayan kaise fazeelat amina ke chand ki
Us ki to har har ada par bolta quran hai
Amina ka laal aaya, amina ka laal aaya
Jo kaha mere nabi ne woh hamesha sach howa
Ho bahoo tasleem karta aaj sciencedaan hai
Amina ka laal aaya, amina ka laal aaya
Amina tuj ko mubarak tere ghar jalwa figan
Aaj woh mah he risalat nabiyon ka sultan hai
Amina ka laal aaya, amina ka laal aaya
Naat khwan:- allama hafiz Bilal qadri, Farhan qadri.