 
          
                Hajiyo aao shahenshah ka roza dekho 
                Kaba to dekh chuke Kabe ka Kaba dekho
              
                Rukn e shami se miti wahshat shame ghurbat 
                Ab madine ko chalo subhe dil aaraa dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Aabe zam-zam to piyaa khub bujha-e piyase 
                Aao jude shahe kowsar ka bi darya dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Zayre mizaab mile khoob karamke cheente 
                Abre rahmat ka yaha zowr barasnaa dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Dhum dekhi hai dare kaba pe betaabo ki 
                unke mushtako me hasrat ka tadapna dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                misle parwana phiri karte the jis sham’a ke gird 
                apni us sham’a ko parwana yaha ka dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Khub ankho se lagaya he gilaafe Kaba 
                Qasre mahbub ke parde ka bhi jalwa dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Wan mutiyo ka jigar khauf se pani paya 
                yan siyahkaro ka daman pe machalna dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Awwali khana e haq ki to ziyaye dekhi 
                aakhri bait e nabi ka bhi tajalla dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                aymane tur ka tha rukne yamani me farog 
                shola e tur yaha anjuman-ara dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                mehre madar ka maza deti hai aagosh e hateem 
                jin pe maa bap fida yan karam unka dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Arz e haajat me raha kaaba kafeel e injaah 
                Aao ab dad-rasi e shahe taibah dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Dho chuka zulmate dil bosa-e sange aswad 
                Khaak bosi-e-madina ka bhi rutba dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Kar chuki rif’ate kaba pe nazar par-vaze 
                topi ab tham ke khak e dar e wala dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                be-niyazi se waha kapti payi ta’at 
                joshe rehmat pe yaha naz gunah ka dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Juma e makkah tha ird ahle ibadat ke liye 
                Mujrimo! aao yaha ird e doshamba dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Multazim se to gale lag ke nikale armaan 
                adab o shauq ka yaha baham ulajhna dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Khoob mas’a me b-ummide safa daud liye 
                rahe janan ki safaka bhi tamasha dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Raqs e bismil ki bahare to mina me dekhi 
                Dil e khu-naba fisha ka bhi tadapna dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Zinate kaba me tha lakh arooso ka banaw 
                Jalwa farma yaha konain ka doolha dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....
              
                Gaur se sun to raza kaaba se aati hai sada 
                Meri ankhon se mere piyare ka roza dekho 
                Hajiyo aao shahenshah ka roza.....