Hamari itni khata o par bhi
Nibha rahe hain madina wale
Gira rahe hain zamane wale
Utha rahe hain madine wale
Hamari itni khataon par bhi...
Meri haqiqat meri kahani
Bas itini hai meri zindagani
Khuda ne paida kiya hai mujhko
Khila rahe hain madine wale
Hamari itni khataon par bhi...
Jo nek hain unko apni janib
Bula rahi hai khuda ki rahmat
Gunahgaron ko apni janib
Bula rahe hain madine wale
Hamari itni khataon par bhi...
Koi hai gora koi hai kala
Isi me duniya fasi hui thi
Ye farq duniya ki zahniyat se
Mita rahe hain madine wale
Hamari itni khataon par bhi...
Koi hai hassan koi hai saadi
Koi hai jaami koi hai khusro
Mere raza ko bhi aala hazrat
Bana rahe hain madine wale
Hamari itni khataon par bhi...
Hussain wo jisko mustafa ne
Kaha tha jannat ka phool hai ye
Wo phool karbo-bala ki khatir
Luta rahe hain madine wale
Hamari itni khataon par bhi...
Ghatane walon se koi kah de
Ghata na paoge hashr tak tum
Hamare akhtar raza ki shohrat
Badha rahe hain madine wale
Hamari itni khataon par bhi...
Jahan me jisko koi na pochhe
Koi na dekhe koi na jaane
Use bhi noore mujassam apna
Bana rahe hain madine wale
Hamari itni khataon par bhi...