Madina Sharif

Huzoor Meri To Sari Bahar Aapse Hai Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Huzoor meri to sari bahar aapse hai
May beqarar tha mera qarar apse hai
May beqarar tha mera qarar apse hai
Huzoor meri to Sari

Meri to Hasti hi kya hai mera gareeb nawaz
Jo mil rha hai mujh sara pyar apse hai
May beqarar tha mera qarar apse hai
Huzoor meri to Sari

Kahan wo Arz e Madina Kaha meri Hasti
Ye Hazri ka sabab baar baar apse hai
May beqarar tha mera qarar apse hai
Huzoor meri to Sari

Siya kaar hu aaqa badi nadamat hai
Qasam khuda ke ye mera waqar apse hai
May beqarar tha mera qarar apse hai
Huzoor meri to Sari

Mohabbaton ka sila koun aysy deta hai
Sunehri jaliyon may yaar e gaar apse hai
May beqarar tha mera qarar apse hai
Huzoor meri to Sari

Huzoor aap ki yaadon mein ashq e Rehmat Hai
Ye aankh meri ziya ashq baar apse hai
May beqarar tha mera qarar apse hai
Huzoor meri To sari...