 
          
                Koi duniya e ata mein nahin hamta tera 
                Ho jo haatim ko muyassar ye nazara tera 
                Keh uthe dekh ke bakhshish mein ye rutba tera
              
                'Wah kya jood o karam hai shah-e bat’ha tera 
                Nahi sunta hi nahi mangne wala tera'.
              
                Ilm aisa bhi na de ke khud ko kahun un jaisa 
                Is se behtar mere maula mujhe jaahil kar de
              
                Kuch bashar hone ke naate tujhe khud sa jaane 
                Aur kuch mahaz payaami hi khuda ka jaane 
                Inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaane
              
                'Farsh wale teri shaukat ka uloo kya jaane 
                Kushrawa arsh pe udta hai pharera tera'.
              
                Jo tasawwur mein tera paikar e zaiba dekhe 
                Ru-e washshams takei matla-‘e seema dekhe 
                Kyu bhala ab woh kisi aur ka chehra dekhen
              
                'Tere qadmo mein pale ghair ka muh kya dekhe 
                Kaun nazron pe chadhe dekh ke talwa tera'.
              
                Muft paala tha kabhi kaam ki aadat na padi 
                Ab amal poochte hain, haaye nikamma tera
              
                Teri nisbat se hai tauqeer meri logo mei 
                Tu alag ho to meri zaat me kuchh bhi nahi
              
                Mujh se na cheez pe hai teri inayat kitni 
                Tune har waqt ki meri himaayat kitni 
                Kya batau teri rahmat mei hai wusat kitni
              
                'Ek main kya mere isiyaa ki haqeeqat kitni 
                Mujhse sau lakho ko kafi hai ishara tera'
              
                Tumhara naam musibat mein jab liya hoga 
                Hamara bigda hua kaam ban gaya hoga
              
                Kahenge aur nabi iz habu ila ghairi 
                Mere huzur ke lab par ana laha hoga
              
'Mujhse sau lakh ko kafi hai ishara tera'
                Mere jad bhi unke ghulaam the 
                Main bhi unke dar ka ghulam hoo
              
                Kai pushto se ghulami ka ye rishta hai bahaal 
                Yahi tifli o jawaani ke guzaare maho-saal 
                Ab budhape mei khudara hame yu dar se na taal
              
                'Tere tukdo pe pale ghair ki thokar pe na daal 
                Khidkiya khaaye kaha chod ke sadka tera'
              
                Gham-e daura se jo ghabraiye, kisse kahiye 
                Apni uljhan Kise batlaiye kisse kahiye 
                Cheer kar dil kise dikhlaiye kisse kahiye 
                Kiska muh takiye, kaha jaaiye, kisse kahiye 
                Tere hi qadmon pe mit jaaye ye palla tera
              
                Nazr-e ushshaq-e nabi hai ye mera harf-e ghareeb 
                Mimbar-e-waaz pe ladte rahe aapas mein khateeb 
                Ye aqeeda rahe allah kare mujh ko naseeb
              
                'Mai to maalik hi kahunga ke wo maalik ke habeeb 
                Yani mehboob o muhib me nahi mera tera'.
              
                Tujh se har chand woh hai qadr o fazail me rafee’ 
                Kar "naseer" aaj magar fikre raza ki tausee’ 
                Paas hai uske shafa’at ka waseela bhi waqee’
              
                'Teri sarkar mei laata hai raza usko shafee’ 
                Wo mera gaus hai aur ladla beta tera'.