Qadri aastana salamat rahe
Mustafa ka gharana salamat rahe
Pal rahe hai jhan se ye dono jaha
Wo sakhi astana salamat rahe
Qadri aastana.......
Dard mando ke sir par hai saya figan
Aap ka shamyana salamat rahe
Qadri aastana.......
Tum se mansoob hai zindagi ka nisaab
Hashar tak ye fasana salamat rahe
Qadri aastana.......
Ye naqeerain bole mujhe qabr me
Mustafa ka diwana salamat rahe
Qadri aastana.......
Hukm tha ke ada ho namaze pachaas
Aap ka aana jana salamat rahe
Qadri aastana.......
Itrate Fatima par Ujager nisaa
Sayyeda ka gharana salamat rahe
Qadri aastana.......