logon ko to duniya me lakhon hi sahare hai
ham ko yahi kaafi hai sarkar hamare hai
rakh lena bharam mera mehshar me mere aaqa
kuchh bhi hai mere aaqa naukar to tumhaare
hai
logon ko to duniya me....
qurban teri shaan par hasnain ke nana
sadqa tere naa'lain ka mere bhi guzaare hai
logon ko to duniya me....
panjtan ke gharane ka jab se mai huaa naukar
us waqt se phir apne waare hi niyaare hai
logon ko to duniya me....
un par hai ‘ayaa ‘aib mere bas ek tasalli hai
sarkaar hamaare hai bas sarkaar hamaare hai
logon ko to duniya me....
rehte hai sada noor ki maanind mere dil me
wo din jo "Ziya" mai ne taiba me guzare hai
logon ko to duniya me....