Toote hue dilon ka sahara hussain hai
Doobe na jo falak pe woh tara hussain hai
Ahl-e-khirad samajh na sake kya hussain hai
Nana ke jism-e-paak ka saaya hussain hai
imaan aur kufr me nisbat nahi koi
duniya hai raat aur sawera hussain hai
Ho kar shaheed zindagi-e-jaavedaan mili
Zinda tha aur aaj bhi zinda hussain hai
jannat ke phool syed-e-konain ke liye
Aur fatima ki aankh ka tara hussain hai
ye bhi tumhe khayal na aaya yazeediyo Sarkaar-e-do-jahan ka nawasa hussain hai
bazm-e-rasool-e-paak me dekha hai raaz ne
Sarkar hai charag aur ujaala husain hai