 
          
                Tum ho jane ali data hindal wali 
                Mere khwaja piya.....
              
                Maula ali ke noor e nazar ho 
                Pyaare nabi ke lakhte jigar ho
                Hum par inayat shaam o sahar ho 
                Saiyad e mohtaram kardo kardo karam 
                Mere khwaja piya.....
              
                Usman ke pyaare dukhiyo ke waali 
                Koi bhikari koi sawali 
                Dar se tumhare lauta na khali 
                Tum ne sab ko diya sadqa e chistiya 
                Mere khwaja piya......
              
                Jisne bhi tumko dukh me pukara 
                Usko diya hai tum ne sahara 
                Mera bhi daman bhar do khudara 
                Waliye bekhasa khwaja e khwajgan 
                Mere khwaja piya......
              
                Yaad jab aaye tumri nagariya
                Chanda ki jaisi dholi atariya
                Tadpu mai jaise jal bin machaliya 
                Ab to kirpa karo hath sar pe dharo 
                Mere khwaja piya......
              
                "Nusrat" hai tum par qurban khwaja 
                Hum sab kahe yeh arman khwaja 
                Kardo is ummat pe ehsaan khwaja 
                Ek nazar daal do mushkile taal do 
                Mere khwaja piya......