Unki jaame jam aankhein shisha ye badan mera
Unki bandh mutthi me sara bakpan mera
Arze dang meri hai Khittaye zaman mera
Mai gulame khwaja hu hind hai watan mera
Aashiqe nabi hu mai warise ali hu mai
Maila ho na payega hashr tak kafan mera
Naate mustafa padhna naate mustafa sun na
Mujhko bakshwayega haa yahi chalan mera
Hashr me nida hogi ye gulam kiska hai
Mujh ko dekhe aur kehde ya shahe zaman mera
Arsh jhoom jhoom utha qudsiyo ko wajd aaya
Naate mustafa me jab khul gaya dahan mera
Aap chahe ho jaye sari mushkil e aasan
Aap chahe mit jaye ranj aur mehen mera
Maine sare kaam apne mustafa ko saupe hai
Kya bigad payega daure pur fatan mera
Waqfe zikre ahmed ho ta abad qalam ya rab
Hashr tak rahe jaari chashmae sukhan mera
Azmate mere aage sajda roz ho jaye
Unke dar se chu jaye kash payrahan mera
Hashr me tarazu par tole jayenge aamal
Kaam aahi jayega naat ka yeh fal mera
Arsh se pare jaakar mustafa ne batlaya
Yeh zami bhi meri hai aur hai gagan mera
Gulshan e madina se "nazmi" mujhko nisbat hai
Ek ek kali meri gul mera chaman mera