Ajmer Sharif

Sultanul Hind Ki Chokhat Par Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Sultanul hind ki chokhat par takdir banane aaya hu
Afasana e dardo hijro alam ro ro ke sunane aaya hu

Kya nazr karu kya pesh karu Sarkar kisi kabil hi nahi
Kuchh ful akaidat ke he jinhe turbat pe chadhane aaya hu
Sultanul hind ki chokhat par takdir banane aaya hu

Sadqe me janab e ushma ke muj par bhi karam ki ik nazar
Dhoraji se ajmer nagar fariyad sunane aaya hu
Sultanul hind ki chokhat par takdir banane aaya hu

Jab razo niyaz ka aalam ho allah se hoti ho bate
Us waqt na bhule aap muje ye yad dilane aaya hu
Sultanul hind ki chokhat par takdir banane aaya hu

Kya bhul huyi aakhir muj se Kyu khwab me aana chhod diya
Ruthe hue apne khwaja ko mai aaj manane aaya hu
Sultanul hind ki chokhat par takdir banane aaya hu

Didar ka dil me shoq liye kehta he tumhara e "syed"
Sultanul hind ke jalwe ko aankho me basane aaya hu
Sultanul hind ki chokhat par takdir banane aaya hu