Karabala sharif

Mere Hussain Tujhe Salam Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Mere hussain tujhe salam
Assalam ya hussain assalam ya hussain
Kar liya nosh jis ne shahadat ka jaam
Us hussain ibne haider pe lakhon salam

Mere hussain tujhe salaam.........

Jisne haq karbala me adaa kar diya
Apne nana ka wada wafa kar diya
Sab kuch ummat ki khaatir fida kar diya
Ghar ka ghar sab supurd e khuda kardiya
Us hussain ibne haider pe lakhon salaam

Mere hussain tujhe salaam.........

Jiska jannat se joda mangaya gaya
Jisko doshe nabi par bithaya gaya
Jiske bhai ko zehar pilaya gaya
Jis ko teeron se chalni karaya gaya
Us hussain ibne haider pe lakhon salam

Mere hussain tujhe salaam.........

Jisko dhoke se kufe bulaya gaya
Jisko ko baithe bithaye sataya gaya
Jis ke bachcho ko pyasa rulaya gaya
Jiski gardan pe khanjar chalaya gaya
Us hussain ibne haider pe lakhon salaam

Mere hussain tujhe salaam.........

Kar chuka woh "Adib" apni hujjat tamam
Le ke allah aur apne nana ka naam
Kufiyon ko sunaye khuda ke kalaam
Aur fida hogaya jaan e khayrul anam
Us hussain ibne haider pe lakhon salam

Mere hussain tujhe salaam.........